TOPIC
Noor e islam
Islamic Voice-Over 🕌🤍
AOA
Mere pyare Islami bhaiyo aur behno, Allah ko har haal mein yaad rakhein. 🤲 Zindagi mein chahe kitni bhi mushkilein aa jayein, Allah ki rehmat se kabhi mayoos na hon. Namaz ko apni zindagi ka hissa banayein, Quran pak ki tilawat karein aur apne dil ko Allah ke zikr se roshan rakhein.
Yaad rakhein, duniya ki har cheez temporary hai, lekin hamare nek aamaal hamare liye bohat ahmiyat rakhte hain. Dusron ke saath mohabbat se pesh aayein, kisi ka dil na dukhayein aur hamesha neki ka raasta chunein.Allah hum sab ko seedhe raaste par chalne ki taufeeq ata farmaye